Thursday, September 19, 2013
Dhongibaba Ki Khas Peshkash Darde Dil Ki Dava ‘Bewafa Shayari’
Hamare jo bhakt prem ka paath padne ke baad asafal ho gaye hain unke liye hum laaye hain kuch dard bhare sms, jo aapko us bewafa ke diye zakhmo ko bharne mein madad karenge. To bhakton aap inhe us bewafa ko bhejiye aur use uski galti ka ehsaas karaiye. Use dikhaiye ki usne aap jaise insaan ko khokar kitni badi bhool ki hai…
________________________________________
Vadon par tere aitbaar kar baithe,
Na jaane kis patthar dil se hum pyar kar baithe,
Mohobbat ki raah mein chale sambhlkar bahut,
Phir bhi na jaane kaise dhoka kha baithe.
________________________________________
Tere siva kabhi kisi ko na chaha humne,
Apna har sapna tere liye lutaya humne,
Jis rah par saath chalne ka sapna dikhaya tha toone,
Unhi raahon par khud ko tanha paya humne.
________________________________________
Chala gaya wo hame bhulakar,
Sapno ka mahal pal bhar mein jalakar,
Socha tha sapne honge haqeeqat,
Par bhool kar dee humne usse dil lagakar.
________________________________________
Duniya mohobbat ki humne bhi basayi thee,
Duniya sapno ki humne bhi sajai thee,
Jab tak chalengi saans hum rahenge saath,
Ek bewafa ke saath ye kasmein humne bhi khayi thee.
________________________________________
Mohobbat mein akela chhod gaya wo hame,
Apni mohobbat se maar gaya wo hame,
Karte the yakeen hum khud se bhi zyaada,
Wahi shaqs jeete jee maar gaya hame.
________________________________________
Hansti hui zindagi veeran kar gayi wo,
Meri khushiyon ko pal bhar mein barbad kar gayi wo,
Sapne dikhaye mohobbat ke kai usne,
Aur baad mein un sapno ko jalakar raakh kar gayi wo.
________________________________________
Mere jazbaat se khel gaya wo,
Pyaar ke vaade saare tod gaya wo,
Pehle sapne dikhaye bade bade,
Phir unhe apne hi haathon se tod gaya wo.
________________________________________
Saat samandar paar hum bhi kar lete,
Uske liye saare zamane se hum bhi lad lete,
Pyaar ki kadar hi na ki usne mere,
Warna jholi khusiyon se uski hum bhi bhar dete.
________________________________________
Jisko apna samjha wahi tanha chhod gaya,
Pyar ki rahon mein hame rota chhod gaya,
Pehle sapne dikhaye rang birange,
Baad mein unko berang kar gaya.
________________________________________
Na mohobbat hi naseeb hui, na pyar hame naseeb hua,
Jisko dil ke sabse kareeb samjha wahi sabse door hua,
Jaane kya khata ki humne is mohobbat mein,
Jo dil ka aashiyana banne se pehle hi choor choor ho gaya.
________________________________________
Duva taqdeer badalti hai suna tha humne,
Pyar mein hasti badal jaati hai suna tha humne,
Dil to hota hai seeshe sa,
Jab toone toda to ye jaan liya humne.
________________________________________
Jaane kyun wo humse khafa ho gaya,
Na jane zindagi mein humse kya gunah ho gaya,
bahut chaha humne use,
Par jise chaha jaane kyun wahi humse door ho gaya.
________________________________________
Kuch is tarah toote sapne mere,
Jaise sapno ka jaha ujad gaya ho,
Uski fitrat ko kabhi samajh na paaye hum,
Wo bewafa hai ye baat na jaan paaye hum.
________________________________________
Is suni aankhon mein intezaar unka hai,
Dil ki har dhadkano mein naam unka hai,
Pyaar kitna hai wo kabhi samajh hi na paaya,
Na chahenge kabhi use, ab ye paigam dil ka hai.
________________________________________
Jaane kya baat hai ki gamon ki aadat see ho gayi hai ab,
Jaane kya baat hai ki raat ko chhup chhup rone lage hain hum,
tu to hai Bewafa jee bhar ke khel mere dil se,
Kyunki tere diye chot khaane ki aadat si ho gayi hai hume ab.
________________________________________
Meri mohobbat ka katl karke wo khushhal ho gaye,
Hum unke ishq mein badnaam ho gatye,
Hame mili sirf badnami unki mohobbat mein,
Hame badnaam karke wo to khushhal ho gaye.
________________________________________
Kuch iss tarah se bhula diya usne hame,
Jaise ek raat ka sapna the kabhi hum.
________________________________________
Mohobbat ke safar mein saath dene wale bahut kam mile,
Sapne dikhakar use todne waale hazaar mile,
Rote rahe hum saari raat teri yaad mein,
Teri yaad ko bhulane mein ab shayad hame barson lagein.
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment