Friday, October 12, 2018
Hothon pe muskaan khil jati hai meri,
Uski ek sharaarat se.
Aankhein chamak jati hain meri,
Uski ek aahat se.
Uski ek jhalak pate hi,
Mera ang ang sajeev ho jaata hai.
Mera udaas man bhi,
Uske sparshmatr se praffukit ho jata hai.
Pataa nahi usme kyaa,
Visheshtaa chhipee hai.
wo mere is andhkaarmay jeevan mein prajalit huee,
ek jagmagaatee roshnee hai.
Uski aankhein hameshaa bolti hain,
Uski baatein mujhe toltee hain.
Uski mand mand muskuraahat,
Uske dil me chhipe raaj kholtee hain.
Khush hai wo mere hothon ki muskurahat se.
Main bhi uski ek muskurahat ke liye taras jati hoon.
Ishwar kare ki hamara ye rishta itna majboot ho jaaye ki,
Ham dono har khushee ka swaagat muskuraahat ke saath karein.

Shayres
Hey ishwar, aap to hain karunanidhan.
Jo jag mein rakhte hain sabkaa dhyaan.
Mere is hriday mein aap sadaa waas kijiye,
Banke mere shareer ke praan.
Aap meri jindagi mein khushiyon ki bahaar lekar aaye hain.
Jiske bina jhulas rahi thi meri rooh wo fuhaar lekar aaye hain.
Naseeb hota hai jo kisee kisee khushnaseeb ko,
Meri jindagee mein wo mahktaa aseem pyaar lekar aaye hain.
Lataaon ki ot se prakat huye aise Raam.
Prakate ho chandra jaise meghon ko hataake.
Naino ki dagar Siyaa rakhe Ram,
Kare Prarhnaa palak giraake.
Lakshminarayan awaak aise dekh rahe,
Mile the kahaan ab mile kahaan aake.
Jaise nadee parvat se nikaltee hai aur parvat mein hi samaa jati hai.
Jaise muskuraahat hothon se nikaltee hai aur dil mein samaa jati hai.
Usi tarah aapka pyaar mere rom-rom mein samaayaa huaa hai.
Mujhe rah rahkar aapki bahut yaad aati hai.
Sangeet wah swar hai jo hriday se nikaltaa hai.
Pyaar se chhoone par to patthar bhi pighaltaa hai.
Ai khudaa mujhse kisi ka dil na toote,
Kyonki toote dil ka jakham sirf pyaar ke marham se bhartaa hai.
Roj ham unse apne pyaar ka ikraar karne jaate hain.
Lekin unki maasoomiyat ko dekhkar ham laut aate hain.
Unse beintahaan pyaar karte hain ham,
Dil ki yahi baat ham unse chhipaate hain.
Dosti ki shuruaat hoti hai par ant nahi hota.
Jiske dil mein pyaar na ho wo insaan nahi hota.
Agar is jahaan mein sabko sachchaa pyar naseeb hota,
To kiseeka dil kisike pyaar se bejaar nahi hotaa.
Jaise bhanvaraa keval kalee kaa raspaan kartaa hai.
Jaise ambar keval dhartee ka aalingan kartaa hai.
Waise hi ai mere jaan se pyaare hamsafar,
Mera dil aapse beintahaan pyar kartaa hai.
Jab chhanmatr ke liye bhi aap meri aankhon se ojhal ho jaate ho to
Mera man aapki ek jhalak paane ke liye tarastaa hai.
Aapke sparshmatr se hi mere man mein ho jati hai ajab si halchal,
Tab aapke pyar mein pagal mera ye dil mujhse lakh sambhale nahi sambhaltaa hai.

Meri Har Ek AdaĆ¢
Teri nazar ko fursat na mili sachai ki,
Warna mera marz itna la ilaj na tha,
Hmne waha b mohabat ki,
Jis shehar may mohabat ka riwaj na tha!
Kisi se bewafai itni bhi na karo ki unhe pyar par naaz karne ka mauqa bhi na mile,
Kisi ka dil itna bhi na todo ki fariyaad karne ka ek tukda bhi na mile.
Unhe Sak He Ki Hum Unpar Marte He
Hme Sak He Ki Wo Hum Pr Marte He
Din Raat Gujarte Ja Rahe He U Hi
Na Wo Kuch Kahte He
Na Hum Kuch Kahte He
Na salaam yaad rakhna,
Na paigaam yaad rakhna,
Dil ki dili tammana hai,
Bas hamara naam yaad rakhna
Aap pe kurban hamari yari he
Haske mar jaynge iski bhi tayari he
ye silsila na khatm ho apnepyar ka
Lo humne apko yad Kia ab Apki bari he.
Itni bedardi se dil ko mere voh tod degi,
yeh maloom na tha mujhe akela voh chhor degi,
aey mere masoom dil tu tanhai se pyar kar le,
bewafa bhi ab wafa ka saath chhor degi.
Kasam Dekar Mujhe Majbur N Karo
Khud Tanha Ho Jaoge Itna Gurur Na Karo
Mana Ki Aap Pe Mera Haq Nhi
Par Apni Yado Ko To Mujhse Dor Na Karo
JHAKM JaB MERE SINE K BHAR JAYEGE
AANSU B MOTI BANKR BIKHAR JAYEGE
YE MAT PUCHNA KIS KIS NE DIYA DHOKHA
WaRNA KUCH APNO K B CHEHRE UTAR JAYEGE
Dil Ki Tanhaaiyaan
Tanhaiyon se ghir gayee hoon main.
wo jo kabhi hasrat bankar jagee thee mere dil mein.
Aaj mere pairon ki jangeer ban gayee hain.
Duniyaa se bilkul alag ho gayee hoon main.
Jab pratham bhent huee unse to.
mere tan man mein pyaree see anubhooti huee.
Unki aankhon mein dekhne ki himmat nahi thi mujhme,
par bhi unhe jee bhar ke dekhna chahtee thi.
Wo mand mand muskurate hue mujhse baatein karte.
Aur lagataar dekhte rahte mujhe.
Par main sankochvash unhe koi bhi jawaab nahi de paatee.
Us pal mujhe lagaa aise ki wo mujhe bahut pasand karte hain.
Us din ke baad unse roj hone lagee baatein.
In baaton ko sunkar unke prati lagaav bahut gahraa ho gayaa hai.
Lekin waqt ne sab kuchh ulatkar rakh diya hai.
Ab ghir gayee hoon main ek ajab si udaasee se.
Shaayad wo bhi ghir gaye hon tanhaaiyon se.
Aur bhar gayee ho rom rom mein unke udaasee.
Phir bhi man mein ye aas hai ki,
kabhi dukh ke badal chhantege aur hoga khushhaal savera.......
Muskurahat
Hothon pe muskaan khil jati hai meri,
Uski ek sharaarat se.
Aankhein chamak jati hain meri,
Uski ek aahat se.
Uski ek jhalak pate hi,
Mera ang ang sajeev ho jaata hai.
Mera udaas man bhi,
Uske sparshmatr se praffukit ho jata hai.
Pataa nahi usme kyaa,
Visheshtaa chhipee hai.
wo mere is andhkaarmay jeevan mein prajalit huee,
ek jagmagaatee roshnee hai.
Uski aankhein hameshaa bolti hain,
Uski baatein mujhe toltee hain.
Uski mand mand muskuraahat,
Uske dil me chhipe raaj kholtee hain.
Khush hai wo mere hothon ki muskurahat se.
Main bhi uski ek muskurahat ke liye taras jati hoon.
Ishwar kare ki hamara ye rishta itna majboot ho jaaye ki,
Ham dono har khushee ka swaagat muskuraahat ke saath karein.
Uski ek sharaarat se.
Aankhein chamak jati hain meri,
Uski ek aahat se.
Uski ek jhalak pate hi,
Mera ang ang sajeev ho jaata hai.
Mera udaas man bhi,
Uske sparshmatr se praffukit ho jata hai.
Pataa nahi usme kyaa,
Visheshtaa chhipee hai.
wo mere is andhkaarmay jeevan mein prajalit huee,
ek jagmagaatee roshnee hai.
Uski aankhein hameshaa bolti hain,
Uski baatein mujhe toltee hain.
Uski mand mand muskuraahat,
Uske dil me chhipe raaj kholtee hain.
Khush hai wo mere hothon ki muskurahat se.
Main bhi uski ek muskurahat ke liye taras jati hoon.
Ishwar kare ki hamara ye rishta itna majboot ho jaaye ki,
Ham dono har khushee ka swaagat muskuraahat ke saath karein.
Subscribe to:
Posts (Atom)